tu na to koi bhed hai
aur na hi bhed bhari thaili ka chhuTa hua koi ain mahbuba
han meri mahbuba
tera nam pata aur shajara-e-nasab to jaante hain hum
andar bahar
zahir baatin
donon samt hi aane jaane wale hain hum
tere ghar ke bhedi hain o bhedan bari
kabhi haqiqi kabhi majazi
tarah tarah se tere aam se jism ki lazzat le lete hain
apna to kuchh bhi nahin jata
lafz se lafz banane wale
koi bhi gham ho
lafz ki goli rang badalte lamhon ki ganga mein ghol ke pi jate hain
sare gunah siyasi
aKHlaqi ruhani
apne sath lipaT kar KHwab ki gahri be-hoshi mein
so jate hain
dusre din tu naya swang racha leti hai
hum bhi apne apne nusKHe badal badal kar ji lete hain

Nazm
Han meri mahbuba
Sarmad Sahbai