donon mashkize laba-lab
ek chumbak ki tarah
apni jaanib khinchte rahte use
fil-bandi qahr thi
mard gahak masKHari karte hue Darte
zara mohtat rahte
jhurjhuri ka swang bharte
aurten maghmum aankhon mein
taras kaDhe hue
apne bachchon par baras paDtin
agar wo bad-lihaz
bholpan se puchh lete
kyun nahin
us ke falanon ki tarah
un ke falane kyun nahin
wo KHudai farsh par ukDun
kabhi gautam ke aasan mein kabhi
tahmad se bahar panw phaila ke
akaD kar baiThta
bar bar is waste pahlu badalta
jugal-gari karta ki pairon mein
hamesha jhunjhuni ke jhunjhune bajte
ajab ek mustaqil si bekali rahti
wo ghubare phaDte paDte the
jin par tant si nili ragen phuli hui
nanhe-munne kechuon ki tarah
kunDli mar ke baiThi hui thin
jis tarah kangha chhupane ke liye
us ne sir-sayyad ki daDhi hu-ba-hu
pile tarbuz par
us ki lungi mez-posh aisi paDi rahti
is maraz ka faeda itna hua
apni chauki se faraghat pa gaya
ye ki raddi phaD kar
apne thaile apni godi mein sameTe
wo unhi par
sari puDyaen banata
laung dhaniya dar-chini jae-phal aur tej-pat
sab masale us ki ranon ke maze
chakhe hue the
ghibati jal-kukDe aise the ki bas
saf kahte is ne kabe ki ziyarat hi
nahin ki hai
faqat ajmer ja kar lauT aaya
balki ye bhi mushtaba
is pahaDi se utarna
dusri ka qasd karna
hajiyon ki dhinga-mushti lapa-dagi rel-pel
phir gunahon ke piTare ki tarah laTki hui
faltu gaThri alag
us ki haalat ghair thi
haj to mumkin hi nahin
jitne hasid utni baaten
ek roz
wo ulahnon se niDhaal
maut ki banhon mein banhen Dal ke
apne aaqa ki taraf
apne raaz apne mafailun uThae chal paDa
kisi mulk mein ek tha baadshah
hamara tumhaara KHuda baadshah
Nazm
Haji bhai pani wala
Saqi Faruqi