be-awaz the aansu is ke
chhoTe chhoTe pair the us ke
tan jaise rui ka gala
rang tha kala
nadi kinare tak pairon ke
sare nishan salamat the
par nadi ke kuchh bhi nahin tha
par nadi ke kuchh bhi nahin hai
sari rahen nadiya ke andar jati hain
aur phir wahin ki ho jati hain
chhoTe chhoTe pair barahna ret ke upar phul khila kar
nadi kinare tak jate hain
aur phir par kahan jate hain
har bachche ko
uDti titli sargoshi mein batlati hai
man teri nadiya ke andar
dudh ka ek mashkiza le kar
tera rasta dekh rahi hai
kaun batae un bachchon ko
man nadiya ke andar kab hai
man tu KHud ek tez nadi hai
man ek dudh-bhari naddi hai
Nazm
Hadsa
Wazir Agha