اردو हिंदी
Guzarte lamhon ka matam | Shaahi Shayari
guzarte lamhon ka matam

Nazm

Guzarte lamhon ka matam

Aftab Shamsi

;

sunahre KHwabon ki wadi mein muddaton hum ne
kai makan basae kai makin badle

tamam umr raha intizar ka aalam
guzarte lamhon ka matam kiya niDhaal rahe

na doston mein koi ab na dushmanon mein koi
hamare mazi ka hum se hisab le kar jo

hamare sud-o-ziyan ka laga ke andaza
hamein batae ki kya khoya hum ne kya paya

bas ek waqt ki Thokar ba-shakl-e-sham-o-sahar
hamare panw mein lag lag ke puchhti hai roz

kahan se aae ho kab tak chaloge tum yunhi
jawab is ka bhi hai us ke pas hi lekin

sawal karne ki aadat si paD gai hai use