kasafat-e-zindagi ki zulmat mein sham-e-haq zau-fishan ho kaise
jahan ki bujhti hui nigahon ko jagmagata hai baam-e-nanak
na pak koi na koi napak koi uncha na koi nicha
guru ka ye mai-kada hai is ja har ek ko milta hai jam-e-nanak
yahan miTe aa ke tafraqe sab rahi na aaludgi koi bhi
ye harf-e-ulfat, ye taur-e-irfan, ye arsh-e-insan, ye nam-e-nanak
Nazm
Guru-nanak
Anand Narayan Mulla