aaj phir aa hi gaya
aaj phir ruh pe wo chha hi gaya
di mere ghar pe shikast aa ke mujhe!
hosh aaya to main dahliz pe uftada tha
KHak-aluda o afsurda-o-ghamgin-o-nezar
para-para the meri ruh ke tar
aaj wo aa hi gaya
rauzan-e-dar se larazte hue dekha main ne
KHurram-o-shad sar-e-rah use jate hue
salha-sal se masdud tha yarana mera
apne hi baada se labrez tha paimana mera
us ke lauT aane ka imkan na tha
us ke milne ka bhi arman na tha
phir bhi wo aa hi gaya
kaun jaane ke wo shaitan na tha
bebasi mere KHuda-wand ki thi!
Nazm
Gunah
Noon Meem Rashid