اردو हिंदी
Gunah aur mohabbat | Shaahi Shayari
gunah aur mohabbat

Nazm

Gunah aur mohabbat

Noon Meem Rashid

;

gunah ke tund-o-tez shoalon se ruh meri bhaDak rahi thi
hawas ki sunsan wadiyon mein meri jawani bhaTak rahi thi

meri jawani ke din guzarte the wahshat-alud ishraton mein
meri jawani ke mai-kadon mein gunah ki mai chhalak rahi thi

mere harim-e-gunah mein ishq dewta ka guzar nahin tha
mere fareb-e-wafa ke sahra mein hur-e-ismat bhaTak rahi thi

mujhe KHas-e-na-tawan ke manind zauq-e-isyan baha raha tha
gunah ki mauj-e-fitna-saman uTha uTha kar paTak rahi thi

shabab ke awwalin dinon mein tabah o afsurda ho chuke the
mere gulistan ke phul jin se faza-e-tifli mahak rahi thi

gharaz jawani mein ahrman ke tarab ka saman ban gaya main
gunah ki aalaishon mein luthDa hua ek insan ban gaya main

mohabbat
aur ab ki teri mohabbat-e-sarmadi ka baada-gusar hun main

hawas-parasti ki lazzat-e-be-sabaat se sharmsar hun main
meri bahimana KHwahishon ne farar ki rah li hai dil se

aur un ke badle ek aarzu-e-salim se ham-kanar hun main
dalil-e-rah-e-wafa bani hain ziya-e-ulfat ki pak kirnen

phir apne firdaus-e-gum-shuda ki talash mein rah-sipar hun main
hua hun bedar kanp kar ek muhib KHwabon ke silsile se

aur ab numud-e-sahar ki KHatir sitam-kash-e-intizar hun main
bahaar-e-taqdis-e-jawedan ki mujhe phir ek bar aarzu hai

phir ek pakiza zindagi ke liye bahut be-qarar hun main
mujhe mohabbat ne masiyat ke jahannamon se bacha liya hai

mujhe jawani ki tira-o-tar pastiyon se uTha liya hai