اردو हिंदी
Gunah | Shaahi Shayari
gunah

Nazm

Gunah

Ali Mohammad Farshi

;

gunah kya hai
sawab kyun hai

sawab ki lazzaten hain kaisi
gunah ka bhaari azab kya hai

mujhe to ye bhi KHabar nahin hai
gunah aaKHir gunah kyun hai

kahan se phuTa hai us ka chashma
kisi pahaDi se jharna ban kar gira hai niche

zamin ke dil par
ki jalte honTon ka dukh bujhane umaD paDa hai

KHud us ki apni hi chhatiyon se
ye reg-zaron ki aarzu hai

ya phir samundar ki aabru hai
jahan se baadal jawani chaDhta hai

aasmanon ki
pani kya hai

ye jo pahaDon pe jhumta hai
sulagte suraj ko chumta hai

do-chaar lamhe pahaD sine pe jhum lena
sulagte suraj ko chum lena

gunah kyun hai
sawab kya hai!