gumbad-numa shaffaf shisha
mohaddab
bich se ubhra hua
gumbad-numa
shaffaf shisha
jis mein se chizen
baDi malum hoti hain
ye dekho
ek chyunTi
hasht-pa makDe ki surat
chal rahi hai
os ka qatra
musaffa hauz ke manind
sakin lag raha hai
ret ka zarra
pahaDi ki tarah
aflak ko chhuta hua mahsus hota hai
ghane pani mein
jarsume ki jumbish par
guman hota hai
jaise sher ne angDai li ho!
haala-e-KHurd o kalan mein
umr bhar
chhoTa baDa karne ke chakkar mein
bandhi rahti hain nazren
ek qubba-dar manzar mein
azal se jaanti hain
bulbula si
putliyon ki sard mehraben
jab is gumbad-numa
shaffaf shishe se guzar kar
ek markaz par
shuaen jama hongi
samne jo chiz hogi
jal uThegi!!
Nazm
Gumbad-numa shaffaf shisha
Rafiq Sandelvi