اردو हिंदी
Gum-shuda | Shaahi Shayari
gum-shuda

Nazm

Gum-shuda

Shahryar

;

khurdure jism ke nasheb-o-faraaz
jaanne ki hawas mein jis ki zaban

aur sab zaiqe bhula baiThi
wo nihatta akela raat ke waqt

ek dil-doz chiKH ke ham-rah
jangalon ki taraf gaya tha kabhi

aur phir lauT kar nahin aaya
ab wo shayad kabhi na aaega

us ke sae ki donon aanhken magar
maut se us ki be-KHabar hain abhi

is ki aamad ki muntazir hain abhi