اردو हिंदी
Gum-shuda lamhe ki talash | Shaahi Shayari
gum-shuda lamhe ki talash

Nazm

Gum-shuda lamhe ki talash

Sarwat Zehra

;

kisi aankh ke papoTon ke
khulne aur band hone ke darmiyan

ek raushni ka aasman
apni chhab dikha ke kahin gum ho gaya hai

aur main kabhi
apni aankh ki putliyon ke

jagte hue andheron mein
use DhunDti hun

aur kabhi khuli aankh ke qalam se
likhe gae aks mein

use tarashti hun
magar

wo raushni ka aasman
mujhe mil nahin raha hai