اردو हिंदी
Gulzar-e-watan | Shaahi Shayari
gulzar-e-watan

Nazm

Gulzar-e-watan

Suroor Jahanabadi

;

phulon ka kunj-e-dilkash bhaarat mein ek banaen
hubb-e-watan ke paude is mein nae lagaen

phulon mein jis chaman ke ho bu-e-jaan-nisari
hubb-e-watan ki qalmen hum is chaman se laen

KHun-e-jigar se sinchen har naKHl-e-arzu ko
ashkon se bel-buTon ki aabru baDhaen

ek ek gul mein phunken ruh-e-shamim-e-wahdat
ek ek kali ko dil ke daman se den hawaen

firdaus ka namuna apna ho kunj-e-dilkash
sare jahan ki jis mein hon jalwa-gar fazaen

chhaya ho abr-e-rahmat kashana-e-chaman mein
rim-jhim baras rahi hon chaaron taraf ghaTaen

murghan-e-bagh ban kar uDte phiren hawa mein
naghme hon ruh-afza aur dil-ruba sadaen

hubb-e-watan ke lab par hon jaan-faza tarane
shaKHon pe git gaen phulon pe chahchahaen

chhai hui ghaTa ho mausam tarab-faza ho
jhonke chalen hawa ke ashjar lahlahaen

is kunj-e-dil-nashin mein qabza na ho KHizan ka
jo ho gulon ka taKHta taKHta ho ek jinan ka

bulbul ko ho chaman mein sayyaad ka na khaTka
KHush KHush ho shaKH-e-gul par gham ho na aashiyan ka

hubb-e-watan ka mil kar sab ek rag gaen
lahja juda ho garche murghan-e-naghma-KHwan ka

ek ek lafz mein ho tasir-e-bu-e-ulfat
andaz dil-nashin ho ek ek dastan ka

murghan-e-bagh ka ho us shaKH par nasheman
pahunche na hath jis tak sayyaad-e-asman ka

mausam ho josh-e-gul ka aur din bahaar ke hon
aalam ajib dilkash ho apne gulsitan ka

mil mil ke hum tarane hubb-e-watan ke gaen
bulbul hain jis chaman ke git us chaman ke gaen