wo ek lamha baDa muqaddas tha
wo ek lamha ki jis mein
aasman sab aayaton ka wird karte the
sitare hath mein le kar
jahannam ki sulagti aur dahakti aag ke upar
farishte apne apne pankhon ki
bunden jhaTakte the
KHuda ne ek lamhe ko nigahen mund kar apni
tasallut ki girah ko Dhila chhoDa tha
nizam-e-azal toDa tha
wo ek lamha ki jis mein
gardishon ke par sayyaron ne pahli bar
holiday manaya tha
wo ek lamha ki jis mein tum janm le rahe the
Nazm
Gulzar
Ali Imran