gulabi chonch mein kiDe liye uDti hai gaurayya
jidhar ek aashiyan mein us ke bachchon ne abhi aankhen nahin kholin
magar hain bhuk se be-kal
machhere subh ki dhundli ridaon mein
purane chhapparon ki kokh se shanon pe rakh kar jal nikle hain
wahin par khanste hain chand mehnat-kash alao ke kinare biDiyan pi kar
falak-paima imarat ke liye mazdur patthar toDte hain munhamik ho kar
sahar ki surmai dhundli ridaon mein
main gahri soch mein gum hun
saf-e-danish-waran kya in se bartar hai?
Nazm
Gulabi chonch
Ambar Bahraichi