ye naznin ki jise qasid-e-bahaar kahen
jawan hasina ki fitrat ka shahkar kahin
payam-e-amad-e-fasl-e-bahaar deti hai
junun-nasib dilon ki duaen leti hai
ise chaman ke har ek phul se mohabbat hai
ise bahaar ki ranaiyon se ulfat hai
gulon mein phirti hai yun jaise titari koi
chaman ki sair kare ya hasin pari koi
jo phul chunte hue naghme gungunati hai
ye shayad apni jawani ke git gati hai
shabab ne jo ise tamkanat sikha di hai
gharib hi sahi phulon ki shahzadi hai
jahan walon ka husn-e-suluk dekha hai
ise zamane ki be-rahmiyon se shikwa hai
guzar rahe hain shab-o-roz kitne bhaari se
shabab kaT rahi hai hazar KHwari se
KHudi ka dars hai afsana-e-hayat is ka
jawab paida karegi na kaenat is ka
ise zamane ki nairangiyon ka hosh nahin
meri nazar mein ye dewi hai gul-farosh nahin
sitam-zarifi-e-fitrat ko aaj sharmaun
jo haar gundhe hain aaj usi ko pahnaun
Nazm
Gul-farosh
Nazeer Mirza Barlas