tu shanasa-e-KHarash-e-uqda-e-mushkil nahin
ai gul-e-rangin tere pahlu mein shayad dil nahin
zeb-e-mahfil hai sharik-e-shorish-e-mahfil nahin
ye faraghat bazm-e-hasti mein mujhe hasil nahin
is chaman mein main sarapa soz-o-saz-e-arzu
aur teri zindagani be-gudaz-e-arzu
toD lena shaKH se tujh ko mera aain nahin
ye nazar ghair-az-nigah-e-chashm-e-surat-bin nahin
aah ye dast-e-jafa jo ai gul-e-rangin nahin
kis tarah tujh ko ye samjhaun ki main gulchin nahin
kaam mujh ko dida-e-hikmat ke uljheDon se kya
dida-bulbul se mein karta hun nazzara tera
sau zabanon par bhi KHamoshi tujhe manzur hai
raaz wo kya hai tere sine mein jo mastur hai
meri surat tu bhi ek barg-e-riyaz-e-tur hai
main chaman se dur hun tu bhi chaman se dur hai
mutmain hai tu pareshan misl-e-bu rahta hun main
zaKHmi-e-shamshir-e-zauq-e-justuju rahta hun main
ye pareshani meri saman-e-jamiyat na ho
ye jigar-sozi charagh-e-KHana-e-hikmat na ho
na-tawani hi meri sarmaya-e-quwwat na ho
rashk-e-jam-e-jam mera aaina-e-hairat na ho
ye talash-e-muttasil sham-e-jahan-afroz hai
tausan-e-idrak-e-insan ko KHiram-amoz hai
Nazm
Gul-e-rangin
Allama Iqbal