kal sham yaad aaya mujhe!
aise ki jaise KHwab tha
kone mein aangan ke mere
gul-chandni ka piDa tha
main sari sari dopahar
sae mein us ke khelti
phulon ko chhu kar bhagti
shaKHon se mil kar jhulti
is ke tane mein bisiyon!
lohe ki kilen thin jaDi
kilon ko mat chhuna kabhi
takid thi mujh ko yahi!
ye raaz mujh pe fash tha
is peD par aaseb tha!
ek mard-e-kaamil ne magar
aisa amal us par kiya
bahar wo aa sakta nahin!!
kilon mein us ko jaD diya
han koi kilon ko agar
khinga upar ki taraf!
aaseb bhi chhuT jaega
phulon ko bhi kha jaega
patton pe bhi manDlayega
phir dekhte hi dekhte
ye ghar ka ghar jal jaega
is sahn-e-jism-o-jaan mein bhi
gul chandni ka peD hai!
sab phul mere sath hain
patte mere hamraaz hain
is peD ka saya mujhe!
ab bhi bahut mahbub hai
is ke tane mein aaj tak
aaseb wo mahsur hai
ye sochti hun aaj bhi!
kilon ko gar chheDa kabhi
aaseb bhi chhuT jaega
patton se kiya lena use
phulon se kiya matlab use
bas ghar mera jal jaega
kya ghar mera jal jaega?
Nazm
Gul-chandni
Zehra Nigaah