khilauna to nahin hun main
na miTTi ka koi but hun
ki jab tum hath ko moDo nahin hogi mujhe taklif
ki jab tum aankh ko phoDo to chiKHen bhi na niklengi
bina soche
bina dekhe meri shadi kisi guDDe se kar doge
mere sar mein kisi bhi nam ka sindur bhar doge
mujhe mujh se bina puchhe mujhi se dur kar doge
suno ye jaan lo tum bhi
suno ye jaan lo tum bhi
murawwat chhoD di main ne
jise guDiya samajhte the
wo guDiya toD di main ne
Nazm
GuDiya
Neel Ahmed