ek tazabzub ki sarae
saaton ke mel se
bojhal magar raushan chhaten diwar-o-dar
aur rah-dari mein ubharti
ajnabi qadmon ki
halki tez chap
aur KHamoshi ka lams jaise saiba
phir sahn mein aa kar utarte
qafilon ki faslon se chor aawazen
safar mein yun achanak aane wale
is paDaw ki
lipaTti mezban ThanDak se
sehar-agin tarawat pa rahi hain
siDhiyon se dur
dalanon ke goshe mein khaDa ek aks
apne ham-nashinon
ham-rakabon ka amir
un ka muhibbi
phir bhi
is tashkik ki
billor saat mein
har ek se bad-guman
is soch mein ghaltan
ki jaise
is safar ho raegan
Nazm
Grihasti
Sajjad Babar