ai hazrat-e-mittal ye karam hai ki sitam hai
kyun lutf nazar aap ka nam chiz pe kam hai
wallah ki hain aap bhi ek zinda ajaib
sahra mein azan de ke kahan ho gae ghaeb
mana ki mere shahar se dilli hai bahut dur
jaise ki rah-o-rasm-e-wafa se dil-e-maKHmur
ye baat kahe kaun
jangal mein agar bel paka hai to chakhe kaun
sahra mein jo gunji hai wo aawaz sune kaun
jab tak nahin pahunche dil-e-sahib nazar un tak
shorida-saran tak
aawaz-e-azan kya
gul-bang-e-fughan kya
main kan mein ungli diye baiTha to nahin hun
bahra to nahin hun
go hath mein jumbish nahin aankhon mein to dam hai
phir ghaib sabab kyun
is banda-e-nachiz pe taKHfif-e-karam hai
ye bhi nahin kahta ki mujhe muft hi bhejen
taufiq ba-andaza-e-himmat ka hun qail
main aap ki derina sharafat ka hun qail
har haal mein raazi-ba-raza hun
hadiya bhi ada karne se inkar nahin hai
aapas mein takalluf ki diwar nahin hai
phir mujh pe taghaful ki nazar kyun hai jafa kyun
ye hazrat-e-'maKHmur'-saidi ki ada hai
Nazm
Gopal mittal dehli ke nam
Raza Naqvi Vahi