abhi sardi poron ki pahchan ke mausam mein hai
is se pahle ki barf mere darwaze ke aage diwar ban jae
tum qahwe ki pyali se uThti mahakti bhap ki tarah
meri pahchan kar lo
main abhi tak sabz hun
munh-band ilaichi ki tarah
main ne aaj tumhaari yaad ke kabutar ko
apne zehn ke kabuk se aazad kiya
to mujhe andar ki patawar dikhai di
chand pura hone se pahle tum ne mujhe chhua
aur baat puri hone se pahle
tum ne baat KHatm kar di
jaankari ke bhi kitne dukh hote hain
bin kahe hi talKH baat samajh mein aa jati hai
achchhi baat ko dohrane ki sai
aur buri baat ko bhulane ki jidd-o-johd mein
zindagi bit jati hai
barf ki diwar mein
ab ke main bhi chunwa di jaungi
ki mujhe aag se khelta dekh kar
danish-mandon ne yahi faisla kiya hai
main tumhaare pas leTi hui bhi
phuljaDi ki tarah sulagti rahti hun
main tum se dur hun
tab bhi tum meri lapTon se sulagte aur jhulaste rahte ho
samundar sirf chand ka kaha manta hai
sar-e-sham jab suraj aur meri aankhen surKH hon
to main chand ke bulawe pe samundar ka KHarosh dekhne chali jati hun
aur mere pairon ke niche se ret nikal kar
mujhe be-zamin kar deti hai
pair be-zamin
aur sar be-asman
phansi par laTke shaKHs ki tarah ho ke bhi
yahi samajhti ho
ki munh-band ilaichi ki tarah abhi tak sabz ho
Nazm
Glass landscape
Kishwar Naheed