ahbab se chhup chhup ke bhi roya hun main aksar
par aaj bhari bazm mein
rone ka maza aur hi kuchh hai
ahbab ko hairat ki mere qahqaha-bardar labon par
kyun le gain sabqat meri bhigi hui palken
mere tapte hue aansu
shayad mere ahbab ko malum nahin hai
izhaar masarrat kabhi hota hai jo ro kar
sau bar ka hansna bhi use chhu nahin sakta
aansu hain wo moti
palkon ke sadaf se jo nikalte hain usi dam
jab dil ke samundar mein
KHushi ka koi tufan bapa ho
tufan sama sakta nahin sirf hansi mein
aansu hi use apni tarawaT mein sameTen to sameTen
aansu ki jasamat mein hain qatre se bhi kuchh kam
izhaar masarrat mein samundar se baDe hain
behis mere ahbab hain
kash un ko batae koi hamdam
hasil jo KHushi aaj hui hai mere dil ko
shayad wo tabassum mein sameTi hi na jati
honTon pe tabassum bhi bahut KHub hai lekin
aankhon mein tarashshoh ki faza aur hi kuchh hai
us bazm mein rone ka maza aur hi kuchh hai
Nazm
Girya-e-mast
Qateel Shifai