fazaon mein hai subh ka rang tari
gai hai abhi girls college ki lari
gai hai abhi gunjti gungunati
zamane ki raftar ka rag gati
lachakti hui si chhalakti hui si
bahakti hui si mahakti hui si
wo saDkon pe phulon ki dhaari si banti
idhar se udhar se hasinon ko chunti
jhalakte wo shishon mein shadab chehre
wo kaliyan si khulti hui munh andhere
wo mathe pe saDi ke rangin kinare
sahar se nikalti shafaq ke ishaare
kisi ki ada se ayan KHush-mazaqi
kisi ki nigahon mein kuchh nind baqi
kisi ki nazar mein mohabbat ke dohe
sakhi ri ye jiwan piya bin na sohe
ye khiDki ka rangin shisha girae
wo shishe se rangin chehra milae
ye chalti zamin pe nigahen jamati
wo honTon mein apne qalam ko dabaati
ye khiDki se ek hath bahar nikale
wo zanu pe girti kitaben sambhaale
kisi ko wo har bar tewari si chaDhti
dukanon ke taKHte adhure se paDhti
koi ek taraf ko simaTti hui si
kinare ko saDi ke baTti hui si
wo lari mein gunje hue zamzame se
dabi muskurahaT subuk qahqahe se
wo lahjon mein chandi khanakti hui si
wo nazron se kaliyan chaTakti hui si
saron se wo aanchal Dhalakte hue se
wo shanon se saghar chhalakte hue se
jawani nigahon mein bahki hui si
mohabbat taKHayyul mein bahki hui si
wo aapas ki chheDen wo jhuTe fasane
koi un ki baaton ko kaise na mane
fasana bhi un ka tarana bhi un ka
jawani bhi un ki zamana bhi un ka
Nazm
Girls college ki lari
Jaan Nisar Akhtar