surmai ret ki pagDanDi par
sang-e-marmar ki chaTanon ka dil-awez shabab
sham ke shoala-nafas rang mein tahlil hua
hath mein hath liye baDhte rahe do sae
aur KHamosh chanaron ki sulagti aankhen
mahw-e-didar rahin
do jawan KHwab, khule jism, barahna jame
ek hi lai mein dhaDakte hue do hangame
jam the hath mein donon ke magar aaankhon mein
ek machla hua arman tha mad-hoshi ka
kya junun-KHez nazara tha ham-aghoshi ka
lazzat-e-wasl se sarshaar the diwane do
dafatan dur junhi sham Dhale dip jale
koi bikhri hui zulfon ko jhaTak kar bola
mujh ko milna hai kisi aur se bhi jaane do
Nazm
Girl-friend
Prem Warbartani