اردو हिंदी
Girhen | Shaahi Shayari
girhen

Nazm

Girhen

Gulzar

;

mujh ko bhi tarkib sikha koi yar julahe
aksar tujh ko dekha hai ki tana bunte

jab koi taga TuT gaya ya KHatm hua
phir se bandh ke

aur sira koi joD ke us mein
aage bunne lagte ho

tere is tane mein lekin
ek bhi ganTh girah buntar ki

dekh nahin sakta hai koi
main ne to ek bar buna tha ek hi rishta

lekin us ki sari girhen
saf nazar aati hain mere yar julahe!