main ne gulab ke paude se puchha
aaj kal tum par phul kam aur kanTe ziyaada aa rahe hain
kahne laga main tumhaara be-dam ghulam hun
in dinon tum dushmani ke kanTe bone mein masruf ho
tumhein kanTon ki zarurat hai
jis roz tum dosti ke safar par nikaloge
dekhna main kaise phulon ke ambar laga dunga
main ne faKHta se kaha
duniya mein har taraf bad-amni phaili hai
wo tumhaari shaKH-e-zaitun wo shaKH-e-amn kahan gai
boli main ne to la kar tumhaare hath mein de di thi
tumhi kahin rakh kar bhul gae ho
dekho shayad tumhaari banduq ki nali mein na paDi ho
main ne taron bhare aasman ki taraf hasrat se dekha
insan ke din kab phirenge
ye qatl-o-ghaarat ye KHun-KHaraba kab KHatm hoga
ye zer-daston ka sabr ye zabardaston ka jabr
ye luT aur jhuT aaKHir hamare nasib mein kyun likh diye gae hain
ek sitara TuTa
aur mere dil ke taKHta-e-siyah par raqam kar gaya
jhank lo apne gireban mein
Nazm
Gireban
Mohammad Haneef Rame