اردو हिंदी
Gitanjali | Shaahi Shayari
gitanjali

Nazm

Gitanjali

Khalilur Rahman Azmi

;

jab bhi git sunta hun
sham ki hawaon ke

kitne pyare lagte hain
ye daraKHt ye paude

jaise meri gardan mein
Dal kar koi bahen

meri dil ki sab baaten
mujh se puchhna chahe

tum ko kaun sa gham hai
kyun udas rahte ho?

tum pe jo guzarti hai
kah sako to kah Dalo

mujh se chahte hain kuchh
ye hare hare patte

ye rafiq-e-tanhai
ye chaman ke gul-buTe

kash koi din aae
apne sare phulon ko

apni be-zabani ka
raaz-dan bana Dalun

wo kahaniyan jin se
raat raat bhar main ne

apni nind uDai hai
un ko bhi suna Dalun

aur sare giton mein
mera dard bhar jae

aur sare patton par
mera aks utar aae