ghumte hue glob par
hum apne panw jamane ki koshish karte hain
aur gir paDte hain duniya ke kisi aur hisse mein
aur phir wahin se apni koshish dobara shurua kar dete hain
aur phir kahin aur se, aur phir
hum ek aisi jang laD rahe hain
jis mein dushman ko jitne ke liye laDne ki bhi zarurat nahin
hamein malum hai apni shikast ke bare mein
aur hamein malum hai ghumte hue glob par
bhure pahaD, hare jangal aur nila pani maujud hai
glob ke sath ghumte hue
main jab tum tak pahunchta hun
tum dusri taraf chali jati ho
jab hamari taraf din hota hai
tumhaare hisse mein raat aa jati hai
aur jab tumhaare hisse mein din hota hai
to raat hamara muqaddar hoti hai
ghumte hue glob par
main us hisse tak pahunchna chahta hun
jo glob ke sath nahin ghumta
aur jahan se hum glob ko ghumta hua
dekh sakte hain
Nazm
Ghumte hue glob par
Zeeshan Sahil