dekh to gori kise pukare
basti basti dware dware
bar mein jholi hath mein kasa
ghum raha hai pit ka pyasa
dil mein aag dabi hai Darna
aankhon mein ashkon ka jharna
lab par dard ka bara-masa
ghum raha hai pit ka pyasa
kanTon se chhalni hain panw
dhup mili chehre par chhanw
aas mili aankhon mein nirasa
ghum raha hai pit ka pyasa
baat hamari man ke gori
sab duniya se chori chori
ghunghaT ka paT khol zara sa
ghum raha hai pit ka pyasa
surat hai 'insha'-ji ki si
baal pareshan aankhen nichi
nam bhi kuchh 'insha'-ji ka sa
ghum raha hai pit ka pyasa
soch nahin sajan ko bula le
aage baDh sine se laga le
tujh-bin de ise kaun dilasa
ghum raha hai pit ka pyasa
Nazm
Ghum raha hai pit ka pyasa
Ibn e Insha