اردو हिंदी
GhaTa chhai to kya | Shaahi Shayari
ghaTa chhai to kya

Nazm

GhaTa chhai to kya

Josh Malihabadi

;

chhaT gae jab aap hi udi ghaTa chhai to kya
turbat-e-pamal ke sabze pe lahar aai to kya

jab zarurat hi rahi baqi na lahn-o-rang ki
koyalen kukin to kya sawan ki rut aai to kya

hijr ke aalam se jab chhuT chuki nabz-e-nashat
ab hawa ne KHar-o-KHas mein ruh dauDai to kya

ho chuki zauq-e-tabassum hi se jab beganagi
ab chaman-afroz phulon ko hansi aai to kya

muD chuki jab maut ke jade ki jaanib zindagi
ab kisi ne aafiyat ki rah dikhlai to kya

har nafas ke sath dil se jab dhuan uThne laga
baadalon se chhan ke ab ThanDi hawa aai to kya

samne jab aap ke gesu ki lahren hi nahin
badliyon ne charKH par ab zulf bikhrai to kya

ho chuka payab jab bahr-e-sar-o-barg-e-shabab
ab samundar ki jawani baDh par aai to kya

ghuncha-e-ahd-e-tarab hi mil chuka ab KHak mein
KHak-e-gulshan ab gul-e-tar ban ke itrai to kya

miT chuke jab walihana bankpan ke walwale
aai ab doshiza-e-mausam ko angDai to kya

khul chuka jab parcham-e-gham zindagi ke qasr par
ab hawaon ne kamar paudon ki lachkai to kya

aansuon mein bah gain jab KHun ki jaulaniyan
jangalon ki chhanw mein barsat iThlai to kya

'josh' ke pahlu mein jab tum hi machal sakte nahin
phir ghaTa ke damanon mein barq lahrai to kya