ghanTiyan gunj uThin gunj uThin
gas bekar jalate ho bujha do burner
apni chizon ko uTha kar rakkho
jao ghar jao laga do ye kiwaD
ek nili si hasin rang ki copy le kar
main yahan ghar ko chala aata hun
ek cigarette ko sulgata hun
wo meri aas mein baiThi hogi
wo meri rah bhi takti hogi
kyun abhi tak nahin aae aaKHir
sochte sochte thak jaegi
ghabraegi
aur jab dur se dekhegi to khil jaegi
us ke jazbaat chhalak uTThenge
us ka sina bhi dhaDak uTThega
us ki banhon mein naya KHun simaT aaega
us ke mathe pe nai subh ubharti hogi
us ke honTon pe nae git larazte honge
us ki aankhon mein naya husn nikhar aaega
ek targhib nazar aaegi
us ke honTon ke sabhi git chura hi lunga
oh kya soch raha hun mujhe kuchh yaad nahin
main tasawwur mein gharaunde to bana leta hun
apni tanhai ko pardon mein chhupa leta hun
Nazm
Gharaunde
Akhtar Payami