Topi janeu Tika mala chhap tilak ki jhuTi haala
hain ye sab bazar ki chizen naqli aur bekar ki chizen
tan man mein gar koDh hua hai kab us ko resham ne Dhaka hai
phika hai har ek libas dil mein agar nahin wishwas
kali safed agar hain nazren jiwan pe lagti hain qaiden
phike phike chand sitare indr-dhanush ke rang bhi sare
aisa hai par mera ghar
jis mein nahin diwar ya dar
kirnon ka saya paDta hai
insan bas insan rahta hai
mera ghar hai ruh meri
rasta manzil sabhi wahi
Nazm
Ghar wapsi
Ashok Lal