اردو हिंदी
Ghar | Shaahi Shayari
ghar

Nazm

Ghar

Saqi Faruqi

;

do raste hain
donon tere ghar jate hain

is raste se tin baras mein ghar pahunchega
us par sat baras lagte hain

jis par sat baras lagte hain wo rasta hamwar bhi hai
us raste ke donon jaanib shahr bhi hai bazar bhi hai

tin baras wale raste ke bich mein jangal paDta hai
jangal jis mein baras baras tak

sone wale kale azhdar
apne maqnatisi zahr se apni jaanib khinchte hain

jangal jis ke mohlik patte
pairon ke chhaalon se lipaT kar

sara lahu pi jate hain
tu malik hai

jis raste se jaana chahe ja sakta hai
main ne apne dusre main ki baat suni aur KHub hansa

main KHub hansa aur tin baras wale raste par chalne laga,