pyare beTe tu ne inT gare cement aur sariye wala makan to bana liya hai
meri dua hai ki ye mohabbat amn KHushi aur KHush-haal se bhara ghar ban jae
is ke darwaze se koi badi aur burai daKHil hi na hone pae
khiDkiyon se zindagi-baKHsh hawa to zarur andar aae lekin har tufan bahar hi rah jae
tera ye ghar wo kashti ban jae jo tujhe har bhanwar se ba-KHair nikal le jae
garmiyan aaen to ghar qurbaton ki garmi se damak uTThe
KHizan aae to diwaron par saje fan-paron se bahaar sharma jae
bahaar aae to mahsus ho ki tera ghar hi is ka mamba hai
bahar kitna hi shor-o-ghaugha ho tere ghar mein sukun-o-rahat ho
bahar kitna hi andhera ho tere ghar mein nae hauslon ke charagh raushan hon
tere ghar ki chaar-diwari is qile ki fasil ban jae
jis mein nafrat naqb na laga sake
mohabbat jis ke andar mahfuz ho
ek dusre ki mohabbat
insan ki mohabbat
KHuda ki mohabbat
ghar kar jae
ghar
Nazm
Ghar
Mohammad Haneef Rame