hum apne ahl siyasat ke dil se qael hain
ki haq mein qaum ke wo madar-e-masail hain
qadam qadam pe nae gul khilate rahte hain
tarah tarah ke masail ugate rahte hain
kabhi ye dhun hai ki subon ki phir se ho tashkil
kabhi ye zid hai ki had-bindiyan na hon tabdil
kabhi ye shor karo KHatm chor-bazari
munafa-KHoron ki lekin na ho giraftari
barae-bahs khaDa hai kabhi ye hangama
libas qaum ka dhoti ho ya ki pajama
har ek bahs mein kuchh kisht-o-KHun zaruri hai
nahin to jo bhi hai tahrik wo adhuri hai
har ek fitna-o-shorish ka aaKHiri jalwa
muzaharaat o julus o tasadum o balwa
yunhi uThai gai bahs jab zaban ke liye
suKHan bahana hua marg-e-na-gahan ke liye
wo masala ki jo danish-kadon mein hal hota
bala se aaj agar tai na hota kal hota
use bhi ahl-e-siyasat ne kar liya ighwa
aur is ke baad wo sab kuchh hua jo hona tha
nifaq o bughz o tassub ke aa gae rele
zaban ki aaD mein ahl-e-fasad khul-khele
muKHalifat mein hui ja-ba-ja saf-arai
julus le ke chale ek taraf se balwai
labon pe ghalghala-e-inqilab zindabaad
magar dilon main dabae hue sharar-e-fasad
dukanen lauTi gain rah-gir mare gae
gharon mein aag lagi tifl o pir mare gae
wo pahla shaKHs jau kha kar chhure ka zaKHm gira
maze ki baat to ye hai, gharib gunga tha
mazid ye ki ise jaan se marne wale
kisi zaban se waqif na the KHud an-paDh the
Nazm
Ghar ki raunaq
Raza Naqvi Vahi