ghar se bahar
aangan mein
khaT pe baiThi
tin aurten
khusur-pusur karti hain!
ek moTi hai
dusri lambi
tisri qad ki chhoTi hai
chhoTi donon hath hila ke
munh hi munh mein
jaane kya kahti hai
lambi sar se sar joDe
baDe chaw se sunti hai
moTi nak pe ungli dhar ke
bina sune hi
maTki sa sar dhunti hai
pas hi ek nannhi si chiDiya
gire paDe tinke chunti hai!
Nazm
Ghar ki chinta
Mohammad Alvi