اردو हिंदी
GhaDi mein aks-e-insan | Shaahi Shayari
ghaDi mein aks-e-insan

Nazm

GhaDi mein aks-e-insan

Intikhab Alam

;

ghar ki baiThak mein ek mez par
ek purani ghaDi

subh se sham tak
sham se subh tak

aur phir is tarah
subh se sham tak

sham se subh tak
waqt ke daere mein musalsal kai sal se

kar rahi hai safar
manzil-e-intiha se bahut dur hai aaj tak wo magar

asl mein us ki manzil nahin hai koi
aaj main der tak ghaur se us ko takta raha

aur us mein mujhe aks-e-insan dikhai diya