ghas bhi mujh jaisi hai 
panw-tale bichh kar hi zindagi ki murad pati hai 
magar ye bhig kar kis baat gawahi banti hai 
sharmsari ki aanch ki 
ki jazbe ki hiddat ki 
ghas bhi mujh jaisi hai 
zara sar uThane ke qabil ho 
to kaTne wali machine 
use muhmal banane ka sauda liye 
hamwar karti rahti hai 
aurat ko bhi hamwar karne ke liye 
tum kaise kaise jatan karte ho 
na zamin ki numu ki KHwahish marti hai 
na aurat ki 
meri mano to wahi pagDanDi banane ka KHayal durust tha 
jo hauslon ki shikaston ki aanch na sah saken 
wo paiwand-e-zamin ho kar 
yunhi zor-awaron ke liye rasta banate hain 
magar wo par-e-kah hain 
ghas nahin 
ghas to mujh jaisi hai!
        Nazm
Ghas to mujh jaisi hai
Kishwar Naheed

