in ke zehn
un ki purani lakiron mein
Dub rahe hain
wo apni Dubti sanson ke
andhere kamron mein
hath panw mar rahe hain
un ki soch ka zaKHmi kohan
makkhiyon ki bhunbhunahat se
larzida hai
unhen nae buton se
nafrat hai
wo purane buton ki parastish mein
nae paida hone wale
bachche ka gala
ghonTna chahte hain
ki aazadi ki aawaz
is ke halq se nikal kar
un ke kapDon ko
ujla na kar de
wo ujle-pan ki peshani se
Darte hain
ki wo purane KHudaon ki
parastish mein
apne aap ko bhul gae hain
aur aane wala bachcha
sadiyon purane
daraKHt ki Tahni par baiTha
muskurahaT ki jhilmilahaT mein
garm hathon ki shaKHon mein
naha raha hai
Nazm
Garm hathon mein shaKH
Makhdoom Munawwar