gharibi ko miTa denge gharibi ko miTa denge
hum apne bazuon ka zor duniya ko dikhaenge
hawas ke aasman bar-dosh mahlon ko gira denge
dar-e-insaniyat par zalimon ke sar jhuka denge
gharibi ko miTa denge gharibi ko miTa denge
kisi ke aish se be-wasta ranjish nahin hum ko
kisi ke sim-o-zar se be-sabab kawish nahin hum ko
kisi par zulm Dhane ki kabhi KHwahish nahin hum ko
magar hum zulm ke baDhte hue shoale bujha denge
gharibi ko miTa denge gharibi ko miTa denge
Nazm
Gharibon ka git
Masood Akhtar Jamal