اردو हिंदी
Ganga ji | Shaahi Shayari
ganga ji

Nazm

Ganga ji

Suroor Jahanabadi

;

o pak naznin o phulon ke gahne wali
sarsabz wadiyon ke daman mein bahne wali

o naz-afrin o sidq o safa ki dewi
o iffat-e-mujassam parbat ki rahne wali

salle-ala ye teri maujon ka gungunana
wahdat ka ye tarana o chup na rahne wali

husn-e-ghayur tera hai be-niyaz hasti
tu bahr-e-marefat hai o pak-baz hasti

han tujh ko justuju hai kis bahr-e-be-karan ki
hum par to kuchh haqiqat khulti nahin jahan ki

ai parda-soz-e-imkan ai jalwa-rez-e-irfan
tu sham-e-anjuman hai kis bazm-e-dastan ki

kyun jada-e-talab mein phirti kashan kashan hai
tujh ko talash hai kis gum-gashta karwan ki

jati hai tu kahan ko aati hai tu kahan se
dil-bastagi hai tujh ko kis bahr-e-be-nishan se