ai aab-rud-e-ganga uf ri teri safai
ye tera husn dil-kash ye tarz-o-dil-rubai
teri tajalliyan hain jalwa-farosh mani
tanwir mein hai teri ek shan-e-kibriyai
jamuna teri saheli go sath ki hai kheli
us mein magar kahan hai teri si jaan-fazai
be-laus tera daman hai dagh-e-masiyat se
mauzun hai tere qad par malbus-e-parsai
dil-band hum hain tere laKHt-e-jigar hain tere
naKHl-e-murad hai tau aur hum samar hain tere
minu-sawad tujh se hain wadiyan hamari
aur kisht-e-arzu hai rashk-e-jinan hamari
wo din bhi hoga honge jab hum ghariq-e-rahmat
aur teri nazr hongi ye haDDiyan hamari
ganga mein phenk aana baad-e-fana uTha kar
barbaad ho na miTTi o aasman hamari
yarab na dafn kar ke ahbab bhul jaen
le kar hamare KHush KHush ganga ko phul jaen
o pak naznin o phulon ke gahne wali
sarsabz wadiyon ke daman mein bahne wali
o naz-afrin o sidq-o-safa ki dewi
o iffat-e-mujassam parbat ki rahne wali
salle-ala ye teri maujon ka gungunana
wahdat ka ye tarana o chup na rahne wali
husn-e-ghayur tera hai be-niyaz hasti
to bahr-e-marfat hai o pak-baz hasti
han tujh ko justuju hai kis bahr-e-be-karan ki
hum par to kuchh haqiqat khulti nahin jahan ki
ai parda-soz imkan ai jalwa-rez irfan
to sham-e-anjuman hai kis bazm-e-dil-sitan ki
kyun jada-e-talab mein phirti kashan kashan hai
tujh ko talash hai kis gum-gashta karwan ki
jati hai tu kahan ko aati hai tu kahan se
dil-bastagi hai tujh ko kis bahr-e-be-nishan se
aai nazar tajalli jab shahid azal ki
zarron mein ja ke chamki phulon mein ja ke jhalki
hindostan hai ek dariya-e-husn-e-qudrat
aur us mein pankhuDi hai tu KHushnuma kanwal ki
nikli himaliya se mahw-e-KHarosh ho kar
tu aah tishna-lab thi wo jalwa-e-azal ki
karti hui zamin par moti nisar aai
darshan ko aah har ke tu haridwar aai
ye josh-e-sabza-e-gul ye teri aab-bari
qudrat ke chappe chappe par ye shagufa-kari
hindostan ko tu ne jannat-nishan banaya
nahren kahan kahan hain tere karam ki jari
ai aab-rud-e-ganga maujon mein tere mil kar
mauj-e-sarab-e-hasti ho be-nishan hamari
baad-e-fana hamare phulon mein bu ho teri
gum hon rah-e-talab mein to justuju ho teri
aae ajal ki zau par jab apni umr-e-fani
aur KHatm rafta rafta ho sail-e-zindagani
duniya se aah jab ho apni safar ka saman
baalin pe aqrban hon sargarm-e-nauha-KHwani
jab honT KHushk hon aur dushwar ho tanaffus
ahbab apne munh mein Tapkaen tera pani
hanste hue jahan se hum shad-kaam jaen
duniya se pi ke teri ulfat ka jam jaen
Nazm
Ganga
Suroor Jahanabadi