dost mayus na ho
silsile bante bigaDte hi rahe hain akasr
teri palkon pe ye ashkon ke sitare kaise
tujh ko gham hai teri mahbub tujhe mil na saki
aur jo zist tarashi thi tere KHwabon ne
jab paDi choT haqaeq ki to wo TuT gai
tujh ko malum hai main ne bhi mohabbat ki thi
aur anjam-e-mohabbat bhi hai malum tujhe
tujh se pahle bhi bujhe hain yahan lakhon hi charagh
teri nakaami nai baat nahin dost mere
kis ne pai hai gham-e-zist ki talKHi se najat
chaar-o-na-chaar ye zahrab sabhi pite hain
jaan luTa dene ke farsuda fasanon pe na ja
kaun marta hai mohabbat mein sabhi jite hain
waqt har zaKHm ko har gham ko miTa deta hai
waqt ke sath ye sadma bhi guzar jaega
aur ye baaten jo dohrai hain main ne is waqt
tu bhi ek roz inhi baaton ko dohraega
dost mayus na ho!
silsile bante bigaDte hi rahe hain akasr
Nazm
Gham-gusari
Ahmad Rahi