barson baad jab us ko dekha phul sa chehra badal chuka tha
peshani par fikr ki aayat aankhen ab sanjida thin
honT kanwal ab bhi waise par shadabi kuchh kam kam thi
pakke phalon ka bojh uThae jism tana bal khata tha
rangin pairahan mein ab bhi
KHwab ki surat lagti thi
jaane kaisi kaisi hikayat dekh use yaad aati thi
pahli dafa jab sath the baiThe class ke andar hum donon
us ke jism ke lams ne mujh ko
pahle to bulaya tha phir pakka dost banaya tha
sham talak mele mein kaise phirte rahe the idhar-udhar
raat gae mammy ne us ko khoTi-khari sunai thi
rail ke andar baiTh ke kaise sharmae ghabrae the
baghair ticket ke pahunch ke ghar par kitni mauj manai thi
dopahar ko Dhabe mein
chae aur cigarette ke sath
thoDe se rumani ho kar
kya kya baaten karte the
ghar ke bahar lawn bhi hoga genda aur gul-mohar ke phul
khari khaT nahin rakhenge bed baDe mahnge honge
suiT mera aisa hoga teri sari resham ki
beTe ka jo nam rakhenge hindu na muslim hoga
bil chukate waqt mein aksar paise kam paD jate the
dekh ke daddu hansta tha phir
jaane kyun KHush hota tha
koi baat nahin hai beTe
kal jab aao de jaana
jate hue jab seTh ne us ki kamar mein bazu pahnaya
dekh ke us ki aankhen mujh ko chhalak paDi thin chup ke se
soch raha tha palaT ke ab wo
puchhegi tum kaise ho
ye hai aap ki coffee sahab aur bhi kuchh chahiye hoga
Nazm
Ghair-mutawaqqa mulaqat
Abu Bakr Abbad