chand sitare
phul banafshi patte
Tahni Tahni jugnu ban kar
uDne wali barf
lakDi ke shaffaf waraq par
mor ke par ki nok se likkhe
kale kale harf
ujli dhup mein
ret ke raushan zarre
aur pahaDi darre
abr-sawar suhani sham
aur sabz qaba mein ek pari ka jism
surKH labon ki shaKH se jhaDte
phulon jaise ism
rang-ba-rang tilism
jhil ki tah mein Dubte chand ka aks
Dhol ki wahshi tal pe hota
nim-barahna raqs!
kaise kaise manzar dekhe
ek karoD baras pahle ke
ghaar mein baiTha shaKHs!!
Nazm
Ghaar mein baiTha shaKHs
Rafiq Sandelvi