ek faqir
ek insan paikar-e-iKHlas ruh-e-rasti
ek faqir-e-be-nawa isar jis ki zindagi
jis ke har qaul-o-amal mein amn ka paigham tha
jis ka har iqdam goya aafiyat-anjam tha
jis ki duniya bandagi bhagTi surur-e-jawedan
jis ki duniya kaif-o-sarmasti ki hasil be-guman
aashti thi jis ki fitrat jis ka mazhab pyar tha
KHidmat-e-insaniyat ka jo alam-bardar tha
azm ne jis ke har ek mushkil ko aasan kar diya
jazba-e-ehsas-e-KHuddari bashar mein bhar diya
naz uThae hind ke wo hind ka gham-KHwar tha
karwan-e-hurriyat ka rahbar-o-salar tha
ye bhi hai mojiz-bayani us ki har tahrir ki
naqsh-e-farsuda se paida ek nai taswir ki
KHak se shoale uThe aur aasman par chha gae
mah-o-anjum ban gae kaun-o-makan par chha gae
tirgi bhagi jahaalat ki faza chhuTne lagi
haule haule tira-o-tarik shab kaTne lagi
har taraf kaif-o-masarrat har taraf nur-o-surur
ghunche ghunche par tabassum chashm-e-nargis par ghurur
ye fusun-kari hui jis ke sabab wo kaun tha
ye junun-kari hui jis ke sabab wo kaun tha
nam tha gandhi magar us ke hazaron nam hain
ek mai-KHana hai jis mein har tarah ke jam hain
Nazm
Gandhi
Sahir Hoshiyarpuri