main 
kabhi nahin jaan saka 
gali 
jazbe ki kaun si sath hai 
main ne kabhi gali nahin di 
magar mujhe hamesha 
galiyon se dilchaspi rahi 
main har rose 
har tarah ki galiyan sunta hun 
gali kisi ko bhi di jae 
uslub mein aurat zarur aati hai 
meri sari zindagi 
lafzon ke darmiyan guzri 
mujhe hamesha lafz nazar aate hain 
gali 
lafzon ki ek tartib ke siwa kuchh bhi nahin 
main 
gali de kar 
aam aadmi ki tarah 
zinda rahna chahta hun 
ek tartib 
mujhe aam aadmi banne nahin deti
        Nazm
Gali
mustafa arbab

