ghas ke sabz maidan to rah gae hain faqat KHwab mein
mera bhaari badan
chaaron pairon ki tahrik par uTh ke chal to paDa hai
in aawara galiyon ki angDaiyon mein
magar shahr ki dauDti phirti sanson se Takra ke
mismar hone lagi hai meri har ada
ab to aawara galiyon ki parchhain mein
makkhiyan shauq se kar rahi hain zina
meri maghmum aankh ke aflak par
apni dum ko hila kar karun kab talak aankh TeDhi uDanon ko sidhi bata
raston par bhaTakte hue
ruh ki parwarish ke liye
do jahanon ke kaghaz ko munh mein musalsal chabaati hun main
sari ummat ki man ban ke
apne hi phailao mein baiTh jati hun main
ab ke jab mujh ko man hi banaya gaya to phir
us muqaddas badan mein jo ghar kar gae hain
in andhe sahifon se nikle hue dudh ke chand qatre piyo
aur apne sarabon ki gahraiyon mein jiyo
Nazm
Gae
Riyaz Latif