wo ek nannhi si pyas jis ne
furaat-e-ismat ke sahilon par
sarab-e-sahra ki dastanon ko apne KHun se raqam kiya tha
jafa ke tiron ko KHam kiya tha
wafa ki aankhon ko nam kiya tha
buland haq ka alam kiya tha
wo pyas karwaT badal rahi hai
ab apne pairon se chal rahi hai
wo pyas
bachpan mein jis ne saton samundaron ka safar kiya tha
wo pyas
jis ki KHamoshiyon ne sada-e-dariya ko sar kiya tha
wo pyas
jis ne sitamgaron ka sukun zer-o-zabar kiya tha
sitam ke aiwan mein aa gai hai
wo pyas zindan mein aa gai hai
Nazm
Furaat-e-ismat ke sahilon par
Tariq Qamar