اردو हिंदी
Funun-e-latifa | Shaahi Shayari
funun-e-latifa

Nazm

Funun-e-latifa

Allama Iqbal

;

ai ahl-e-nazar zauq-e-nazar KHub hai lekin
jo shai ki haqiqat ko na dekhe wo nazar kya!

maqsud-e-hunar soz-e-hayat-e-abadi hai
ye ek nafas ya do nafas misl-e-sharar kya!

jis se dil-e-dariya mutalatim nahin hota
ai qatra-e-naisan wo sadaf kya wo guhar kya!

shaer ki nawa ho ki mughanni ka nafas ho
jis se chaman afsurda ho wo baad-e-sahar kya!

be-moajaza duniya mein ubhartin nahin qaumen
jo zarb-e-kalimi nahin rakhta wo hunar kya